Tauba - Penance

Woh kaun hain jinhein tauba ki mil gayi fursat
Hamein gunaah bhi karne ko zindagi kam hai

- 'Anand Narayan Mulla'
 

Maikade mein kabhi tauba ko jo aate dekha
Ek deewaar khadi ho gayi paimaanon ki

- 'Noh Narvi'
 

Ba'ad tauba ke bhi hai dil mein yeh hasrat baaqi
Qasam deke koi ek jaam pila de hum ko

- 'Ruswaa'
 

 

Deedaar ki talab ke tareeqon se be khabar Deedaar ki talab hai to pahle nigah maang