Soorat - Figure, Form

Ulat de aye saba tu hi naqaab-e-rukh ko chehre se
kabhi to dekh lein hum zara sarkaar ki soorat

- 'Siddiq Dehlvi'
 

Koi umeed bar nahin aati
Koi soorat nazar nahin aati

- 'Ghalib'
 

Haya-wa-sharam ankhein samne karne nahin deti
larakpan hai abhi woh soorat-e-'ashaq se dartein hain

- 'Aatish'
 

 

Ladne ko usne raat mein ghusse mein lad liya phir jab who uth chale to kaleja pakad liya