|
        |
|
Parde ki kuchh had bhi aye parda nashin Khul ke mil, bas moonh chhipaana chhod de
|
-
'Momin'
|
|
Dil mein aa jao ke hai yeh ghar to parde ka makan Humne aankhein band kar leen, aao parda ho gaya
|
-
'Bekhud Dehlvi'
|
|
Shukr parde hi mein us but ko haya ne rakkha Warna imaan gaya hi tha Khuda ne rakkha
|
-
'Zauq'
|
|
|
|
|
Qayamat khez hai surkhi yeh paanon ki lab-e-tar mein Khuda jaane yeh dono la'al hain kis ke muqaddar mein
|
 |
|