|
|
|
Tark unse rasm-o-rah-e-mulaqaat ho gayi Yoon mil gaye kabhi to koi baat ho gayi
|
-
'Salim Ahmed'
|
|
'Uzr aane mein bhi hai, aur bulaate bhi nahin Ba'ase tark-e-mulaqaat bataate bhi nahin
|
-
'Daag'
|
|
Ab kaun baat rah gayi hai, yeh baat bhi gayi Ya'ani kabhi kabhi ki mulaqaat bhi gayi
|
-
'Mubaarak Azeemabadi'
|
|
|
|
|
Nikalna khuld se Aadam ka sunte aaye hain lekin Bohut be aabroo ho kar tere kooche se hum nikle
|
|
|