Khwaab - Dream

Khwaab-o-Khayal ho gaye meri khushi ke din
Kis aasre peh kaate koi zindagi ke din

- 'Jurm'
 

Jagaane, chutkiyan lene sataane kaun aata hai
Yah, chup kar khwaab mein Allah jaane kaun aata hai

- 'Muztar Khairabadi'
 

Mujhe dhoka na deti hon kahin tarsi hui aankhein
Tumhi ho saamne ya phir wahi tasweer-e-khwaab hai

- 'Andaz Ainullah'
 

 

Dekh kya gul khilati hai bahaar abke baras Khwab mein dekha hai 'Faani' ne qafas ka dar khula