Dil - Heart

Nuktah cheen hai gham-e-dil usko sunae na bane
Kya bane baat jahan baat banae na bane

- 'Ghalib'
 

Laakhon mein intekhaab ke qaabil bana diya
Jis dil ko tumne dekh liya dil bana diya

- 'Jigar'
 

Dil-e-naadan tujhe hua kya hai
Aakhir is dard ki dawa kya hai

- 'Ghalib'
 

 

Yaad-e-vatan na aaye hamein kyon vatan se door Jaati nahin bu-e-chaman kya chaman se door