Bosaa - Kiss

Sohbat mein ghair ki na padi ho kahin yeh jo
Dene laga hai bosaa baghair iltejaa kiye

- 'Ghalib'
 

Be ginti bosey liye gaye rukh-e-dil pasand ke
A'ashiq tere padhe nahi I'lm-e-hisaab ko

- 'Aatish'
 

Bosaa hum lete rahein, tum gaaliyaan dete ho
Dil hi dil mein phir hisaab-e-dostaan hojaayega

- 'Aagha Shair'
 

Bosaa mujh ko nahi dete ho to jhidki hi sahi
nahi darwaaza jo khul saktaa to khidki hi sahi

- 'Insha'
 

Agar ek le liya bosaa khataa is ko nahi kehte
Mohabbat kehte hain tark-e-hayaa is ko nahi kehte

- 'Tasweer Dehlvi'
 

Le liya jo bosaa maine bandah parwar kya hua
Pyar mein lub rakhdiye pyaare laboon par kya hua

- 'Rakhshan'
 

Hum to kyon kar kahein keh bosa do
Gar inayat karo inayat hai !

- 'Hakim Dehlvi'
 

Wasl ki shab aap boson par khafa hone lage
Kya maze ki baat thi kyon badmazaa hone lage

- 'Nama'loom'
 

Bosaa dene mein jo poochhaa ke bigadta kya hai
Bole lene mein kaho aap ko milta kya hai

- 'Nama'loom'
 

 

Be ma'ni hai woh ishq ke jis mein kashish na ho Dilchasp ho na husn to soorat haraam hai