Aah - Sigh

Aah hoti mere lab par na yeh nalah hota
Ek bhi toone jo armaan nikaala hota

- 'Rasa'
 

Aah nikli hi thi honton se ke woh aa pahonche
Dekh li meri duaon ne asar ki soorat

- 'Zakir Dehlvi'
 

Meri aah ka tum asar dekh lena
woh aayenge thame jigar dekh lena

- 'Daag'
 

 

Toofaan-e-Nooh laane se ai chashm faaydah do ashk bhi bohut hain agar kuchh asar karein