Sharaab - Liquor; Wine

Un nigaahon se koi keh deta
Hum jo raaz-e-sharaab samjhe the

- 'Mohsin Azeemabadi'
 

Likha hua hai peer-e-mughaan ki dukaan par
Kam zarf ko haraam hai peena sharaab ka

- 'Hasan Dehlvi'
 

Le shaikh aankh meech ke pee jaa sawaab hai
Jitni bachi khuchi meri jhooti sharaab hai

- 'Akbar Merathi'
 

Yaaron khataa ma'af meri, main nashe mein hoon
Saagar mein mai, mai mein nasha, main nashe mein hoon

- 'Meer'
 

Main to jab maanoon ke bhar de saagar har khaas-o-'aam
Yoon to jo aaya peer-e-mughaan banta gaya

- 'Majrooh Sultanpuri'
 

Aakhiri jaam mein kya baat thi aisi saaqi
Ho gaya pee ke jo khaamosh, woh khaamosh raha

- 'Shaad Azeemabadi'
 

 

Haan aap ko dekha tha mohabbat se hami ne Ji saare zamaane ke gunaahgaar hami the