Mutfareeq Ash''ar - Miscellaneous Couplets

Mita de apni hasti ko agar kuchh martabah chahiye
Ke dana khaak mein milkar gul-e-gulzaar hota hai

- 'Nama'loom'
 

Gulshan parast hoon mujhe gul hi nahin 'azeez
Kanton se bhi nibah kiye jaa raha hoon main

- 'Jigar Muradabadi'
 

Ahle zabaan to hain bohut koi nahin ahle dil
Kaun teri tarah 'Hafeez' dard ke geet ga sake

- 'Hafeez Jalandhari'
 

Laayi hayaat aaye qaza le chali chale
Apni khusi aaye na apni khushi chale

- 'Zauq'
 

Na kisi ki aankhon ka noor hoon, Nakisi ke dil ka qaraar hoon
Jo kisi ke kaam na aasake main woh ek musht-e-ghubaar hoon

- 'Zafar'
 

Achchhe Isa ho mareezon ka khayal achchha hai
Hum mare jaate hain tum kehte ho haal achchha hai

- 'Amir Meenai'
 

Bohut shor sunte the pehlu mein dil ka
Jo cheera to ek qatrah khoon na nikla

- 'Aatish'
 

'Umr-e-daraaz maang kar laaye the chaar din
Do aarzoo mein kat gaye do intezaar mein

- 'Zafar'
 

Zaahid sharaab peene de masjid mein baith kar
Ya woh jagah bata de jahan par Khuda na ho

- 'Daag'
 

Hasrat pe us musaafir bekas ke roye
Jo thak ke baith jaata hai manzil ke saamne

- 'Musahfi'
 

Ishq par zor nahin hai ye woh aatish 'Ghalib'
Jo lagaaye na lage aur bujhaaye na bane

- 'Ghalib'
 

Main jis mein aag bhar kar din raat peeta hoon
Koi chhoo bhi nahin sakta woh jaam-e-aatish mera

- 'Simaab'
 

Bandagi ka mere andaaz juda hota hai
Mera Ka'aba mere sajdon mein chhupa hota hai

- 'Nama'loom'
 

Kal raat zindagi se mulaqaat ho gayi
Lub thar thara rahe the magar baat ho gayi

- 'Shakeel Badayuni'
 

Ishq ki chandni raatein mujhe yaad aati hain
'Umr-e-raftah ko meri, mujh se mila de aakar

- 'Akhtar Shirani'
 

Shama parwaane se kehti hai yeh rokar shab-e-hijr
Aaj ki raat bacheinge to saher dekhenge

- 'Nama'loom'
 

Toofaan-e-Nooh laane se ai chashm faaydah
do ashk bhi bohut hain agar kuchh asar karein

- 'Nama'loom'
 

Dum-e-rukhsat zabaan to khul na saki
Dil ki baatein huyin nigaahon mein

- 'Nama'loom'
 

Duniya ki yahi rasm hai, Romi ho ya Shaami
Sultaan ki ghulaami, kahin mulla ki ghulaami

- 'Nama'loom'
 

Meri talab bhi usi ke karam ka sadqah hai
Qadam yeh uthaate nahin hain, uthaaye jaate hain

- 'Jigar'
 

Chand tasweer-e-butaan, chand haseenon ke khutoot
Ba'ad marne ke mere ghar se yeh saamaan nikle

- 'Ghalib'
 

Kaun kehta hai ke bosa do hamein
Moonh faqat rakh lene do rukhsaar par

- 'Nama'loom'
 

Ek bose ke talabgaar hain hum
Aur maange to gunahgaar hain hum

- 'Zaar'
 

Khanjar chale kisi pe tadapte hain hum 'Ameer'
Saare jahan ka dard hamaare jigar mein hai

- 'Ameer'
 

'Umr to saari kati ishq-e-butaan mein 'Momin'
Aakhri waqt mein kya khak musalmaan honge

- 'Momin'
 

Ek mo'ammah hai samajhne kana samjhaane ka
Zindagi kahe ko hai, khwaab hai deewaane ka

- 'Faani'
 

Saadiq hoon apne qaul mein 'Ghalib' Khuda gawah
Kehta hoon sach ke jhoot ki aadat nahin mujhe

- 'Ghalib'
 

Woh qayamat thi teri yaad ke gum hosh raha
Saara aalam mujhe aye dost faramosh raha

- 'Shaad'
 

Mohabbat ho na ho unko mujhe kya main to aashiq hoon
Na hone se hai uske kya, agar hoti to kya hota

- 'Akbar Allahabadi'
 

Aye sanam jis ne tujhe chaand si soorat di hai
Usi Khuda ne mujh ko bhi mohabbat di hai

- 'Nama'loom'
 

Zabaan kehne se ruk jaaye wahi dil ka hai afsaana
Na puchho mai kashon se kyon chalak jaata hai paimaana

- 'Irfan'
 

Dhoondne se to bashar ko Khuda bhi milta hai
Khuda agar dhoonde to insaan kahaan milta hai

- 'Irfan'
 

Hazaaron khawahishein aisi ke har khawahish par dum nikle
Bohut nikle mere armaan, lekin phir bhi kum nikle

- 'Ghalib'
 

Runj se khugar hua insaan to mit jaata hai runj
Mushkilein mujh par padi itni ke aasaan ho gayi

- 'Ghalib'
 

Mitti mein jis ke haq ne zar ka asar diya tha
Saare jahan ko jisne ilm-o-hunar diya tha

- 'Iqbal'
 

Woh qatl bhi kar daale to charchaa nahin hota
Hum aah bhi karte to ho jaate badnaam

- 'Ek Hindustani Aurat'
 

 

Teri tasweer mein yeh baat tujh se bhi niraali hai Ke jitna chaho chimta lo na jhidki hai na gaali hai