Mehndi - Heena

Chura ke mutthi mein dil ko chhupaye baithe hain
Bahana ye hai ke mehndi lagaye baithe hain

- 'Qaisar Dehlvi'
 

Saaf inkaar hai aane ka bahana kaisa
Rang laye hain mehndi ka lagana kaisa

- 'Majnu'
 

Badhta raha badan mein mere dum ba dum lahu
Seene pe tha wo dast-e-heenai tamaam raat

- 'Insha'
 

Hua hai shauq-e-aaraish jo paaband-e-heena tum ho
Yahi mauqa' hai hathapai ka bane dast-e-pa tum ho

- 'Nama'loom'
 

Aye heena kya tera muqaddar hai
Dast basteh har ek dilbar hai

- 'Nama'loom'
 

 

Mila jo mauq'a to rok loonga jalaal-e-hisaab tera Padhunga rehmat ke wo qaseeda ke has padhega a'zab tera