Aaina - Mirror

Aaina moonh pe bura aur bhala kehta hai
Sach yeh hai saaf jo hota hai safa kehta hai

- 'Daag'
 

Na Dekhna kabhi aaina bhool kar dekho
Tumhaare husn ka paida jawaab kardega

- 'Bekhud Dehlvi'
 

Andaaz apna dekhte hain aaine mein woh
Aur yeh bhi dekhte hain ke koi dekhta na ho

- 'Nizam Raampuri'
 

 

Zindagi hai ya koi toofaan hai Hum to is jeene ke haathon mar chale