Aabroo - Honour

Nikalna khuld se Aadam ka sunte aaye hain lekin
Bohut be aabroo ho kar tere kooche se hum nikle

- 'Ghalib'
 

Museebat mein shareefon ki kabhi izzat nahin ghat'ti
Jalaa bhi daalo sone ko magar qeemat nahin ghat'ti

- 'Nama'loom'
 

Aaise Jeene se to hai doob ke marna behtar
Aabroo jis ki na ho woh koi insaan hi nahin

- 'Nama'loom'
 

 

Mujhko aashiq kahke uske roo baroo mat kijiyo Dostaan ! Gar dost ho to yeh kabho mat kijiyo